Showing posts with label urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label urdu poetry. Show all posts

Wednesday, 28 August 2013

Ghazal

Roz_o_shab youn na azeeyat mein guzare hotay,

Chain aa jata agr khel k haaray hotay,

Khud se fursat he muyysar nahi aai warna,

Hum kisi aur k hotay to tumharay hotay,

Tujh ko bi gham nay agr theek say brrta hota,

Teray chehray pay khadokhal humary hotay,

Aik bi moj agr hamari himayyat karti,

Hum nay us par kai log utaray hotay,

Lag gai aur kahein umr ki punji warna,

Zindgi hum teri dehleez pay haaray hotay,

Kharch ho jatay isi aik mohabbat mein Mohsin,

Dil agr aur bi seenay mein hamary hote.....

Friday, 23 August 2013

Firaq-E-yaar ki barish malaal ka mousam'

Firaq-E-yaar ki barish malaal ka mousam'
!!
Hamare shehar mein utra kamaal ka mousam'
!!
Wo ik dua meri jo na'muraad loat aayi,
!!
Zuban se roth gaya phir sawal ka mousam'
!!
Bohat dinon se mere zehan k darichon mein'
!!
Thehar gaya hai tumhare khayal ka mousam'
!!
Jo Be-yakeen hon baharein ujarr b sakti hain'
!!
Tu aa k daikh le mere zawal ka mousam'
!!
Muhabbatein b teri dhoop chaon jaisi hain'
!!
Kabhi ye hijar kabhi ye wisaal ka mousam'
!!
Koi Mila Hi Nahi Jisko Sonpte
'mohsin '
!!
Hum Apne Khawab ki Khushbu Khayal ka mousam